Koi Pyar Kare,Tou Tum Sey Kare,Tum Jaise Ho,Waise Kare,
Koi Agar Tum Ko Badal Ke Pyar Kare,
Tou Vo Pyar Nahi Saudagar hai
Aur Saaheba
PYAR MAI SAUDA NAHI HOTA!!!
Dil mai The Kitne Armaan
Aakhoon Mai Dher Sare Sapne
Aur Kisi Ka Besabri Sey Intezaar
Per Sapne Sapne Hi Bankar Reh Gai
Koun Ke Na Hi Kisi Ka Koi Naamo Nishan
Dil Mai Ab Koi Armaan Nahi
Na Hi Ke Koi Aas Hai
Na Hi Aankhoon Mai Koi Rangin Sapne
Na hi koi Piyas Hai
Na Koi Hai Mera Dil Sey Apna
Na Kabhi Koi Hoga Mera Apna
Zindagi Hai Meri Ek Samjhota
Dil Mera Ek Khali Kamra
Magar Is Mai Ghum Hai Hazar
Kis Ko Baate Aapne Haale Dil Ki Khani
Jab Apne Hi Nahi Mere Sath...
Dil Mai Mere Chahat Basi Hovi Hai Barso Sey
Ke Mujhe Mohabbat Hai Tum Sey
Karti Hoon Izhaar Mai Dil Sey
Samajh Aata Nahi Kaise Bayaan Karo Tumhai Mai Lovzo Mai
Kaise Baya Karo Aapne Haale Dil Ki Pukar Tum Sey
Karoon Kya Aapni Zindagi Ka
Jaha Namo Nishan Ho Na Tera
Jis Mai Pyar Hona Tera
Bass Khoshish Or Dua Yahi Hai Khuda Sey
Ke Jald Sey Jald Ho Mere Tujh Sey Milna
Bonti Hoon Khawab Mann Hi Mann Mai
Kya Pata Kab Sach Hogai Sapne Bune Hove Apne...
Dil Mai Ab Koi Khohish Nahi
Na Hi Koi Ass Hai
Bite Na Ab Pal Mera
Na Jaane Yeh Kesa Ahsas Hai
Gum Sum Hai Dil Mera
Lage Na Mann Ab Kahi
Khayal Aae Mujhe Tera Jab Kabhi
Aakh Bhar Aati Hai Har Ghadi
Yeh Kavita Unke Liya ,Jo Aapne Mohabbat Sey Juda Karwada Jate Hai...
Zindagi Roz Nae Rang Me Dhal Jati Hai,
Kabhi Dushman To Kabhi Dost Nazar Aati Hai,
Kabhi Cha Jae Kabhi Baras Jae Ghata Bemausam,
Kabhi Ek Bund Ko Bhi Ruh Taras Jati Hai
Mere haathon sey gir gayi lakeeren kahin,
Bhool aaye hum apni takdeeren kahin.
Agar mile aapko kahi to utha lena,
Mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja lena.
Wo Kaun Hai Duniya Me Jise Gum Nahin Hota,
Kis Ghar Mai Khushi Hoti Hai Matam Nahi Hota,
Aise Bhi Hain Duniya Mai Jinhai Gum Nahin Hota,
Ek Hum Hai Hamara Kabhi Kam Nahi Hota,
Kya Surma Bhari Ankho Se Ansu Nahi Girte,
Kya Mehendi Lage Hatho Se Matam Nahi Hota
“ Passion, Creativity and Designing” represent Shafaq Naaz who has majored in Graphic Design and Illustration. I'm also an Artist and a poet , I write poetry that relates with emotions of daily lives, in other words,Love and Sad, poetry in Hindi and In English. And also I’m a Set Designer, and a jewelry designer. Whether as a career or a passion, arts and dance are major components my life.